AskImamDarul Iftaa Mahmudiyyah (AskImam)

Q no1: mera udhar ka karobar hai mujh pe zakat bunti hai. ( Do I have to give zakat on my loaning business? ) Q no1: (najeeb ullah) naam sahi hai ya (nazif ullah). ( Is najeebullah a good name? How about Nazif ulla?)

Fatwa 19031English
Misc. Fiqh

Question

Q no1: mera udhar ka karobar hai mujh pe zakat bunti hai. ( Do I have to give zakat on my loaning business? )

Q no1: (najeeb ullah) naam sahi hai ya (nazif ullah). ( Is najeebullah a good name? How about Nazif ulla?)

Answer

In the name of Allāh, Most Gracious, Most Merciful

Assalāmu ῾alaykum wa Rahmatullāhi Wabarakātuh

Usoolan woh qarzah jiskay milnay ki umeed ho us qarza ya udhaar kay wusool honay par uski zakat dayna laazim hogi. Jitney saalo may bhi wusool ho, un guzishtah tamaam saalo ki zakat dayna hogi.

Agar aik dam wusool na ho to kam az kam 40 dirham(nisab ka paanchwa hissah)wusool honay par utni miqdar ki zakat lazim hay aur guzishtah tamaam saalon ki zakat ki adaigi laazim hogi. Har saal ki zakat ada karnay k baad baqyah raqam par zakat laazim hogi.

(Fatawa Shami, Vol.2, Pg.305, Saeed)

(Fatawa Mahmoodiyyah, Vol.9, Pg.403, Farooqiah)

Najeeb ka matlab “shareef ya shareef khandaan” hay, jabkeh Nadheef (نظيف) ka matlab “paak saaf” hay. Nazeef (نزيف) ka matlab kamzor hay. Is lihaaz say “Najeebullah” aur “Nadheefullah”(نظيف الله) dono acchay naam hain.

And Allāh Ta῾āla Knows Best

Wassalāmu ῾alaykum

Ml. Abdur Rahman Shareef,

Student Dārul Iftā

Checked and Approved by:

Mufti Ebrahim Desai

Dārul Iftā, Madrasah In῾āmiyyah

Answered by
Ml. Abdur Rahman Shareef
Checked & approved by
Mufti Ebrahim Desai
View original Ask AskImam directly

Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Darul Iftaa Mahmudiyyah (AskImam). It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.