Mufti OnlineMufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen

Khwaab ki ta'beer

Roman Urdu
Urdu QuestionsKhwaabo ki Ta'beer

Question

Main na khawab main dekha ka main apnay papa aur husband ka sath khare hoon aur hum log mere dadi amma ki baat kr rhy un ka inteqal 12 saal pahlay hua ha abhe hum un ki baat kr rhy thay ka mjhy dadi nazar ayain aur mjhy dekh kr ronay lageen main bhe roo de main na dadi sa kaha ka ap kahan chale gaye hum sa milte bhe naheen to unhoon na mjhy apnay galay lagaya aur boleen abhe main jate hoon baad main milain ga yeh kah kr wh chale gayein aur main meray papa aur meray husband unhain jatay huay dekhtay rahay. Please mjhy is khawab ki tabeer bata dain.

Answer

Qur'an Shareef ka kuch hissa par kar ya kuch sadaqa de de owr us ka sawaab apne marhooma dadi ke lia bhejde.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

Answered by
Mufti Zakaria Makada

Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.